• Breaking News

    Kumhar ki motivational story


    Ek gaon me ek Kumhar rahta tha, Wo Mitti ke Bartan or Khilaune banaya karta tha aur use sahar jake becha karta tha; jaise-taise uska gujara chal raha tha. Ek din uski Patni boli ki Mitti ke Khilaune or Bartan banana band karo or sahar jake ke koi naukari hi kr lo kyonki ise banane se hamara guzara nahi hota, Kaam karoge to mahine ke ant me kuch dhan to aayega. Kumhar ko bhi kuch aisa hi lagne lga tha par usko Mitti ke Khilaune banane ka bahut sauk tha lekin halaat se majboor tha par wo sahar jake naukari karne lga. Naukri karta jaroor tha par uska man abhi bhi apne Chak or Mitti ke Khilaune me hi lga rahta tha.
                                    Samay beetata gya, Ek din sahar me jaha wo kaam karta tha us Malik ke ghar par uske Bacche ka Janmadin tha sab mahange-mahange tohfe leker aaye, Kumhar ne socha kyon na Mai bhi Mitti ka Khilauna banau or bacche ke liye le jau waise bhi hum Garibo ka tohfa kaun dekhta hai. Ye soch kar wo Mitti ke Khilaune le gya; jab Dawat khatam hui to us Malik ke Bete ko or jo bhi Bacche Waha aaye the sabko wo Khilaune itne pasand aaye or sab zid karne lage ki unko waisa hi Khilauna chahiye sab Ek-Dusre se poochne lage ki Ye shandar tohfa kaun laya hai? Tab kisi ne kaha ki; Ye tohfa Apka Naukar lekar aaya hai sab hairan par Baccho ke Zid ke liye Malik ne us Kumhar ko bulaya or poocha ki, Tum ye Khilaune kaha se leker aaye ho, Itna mahnga tohfa tum kaise laye? Kumhar ye baatein sun kar hasne lga or bola maaf keejiye Malik ye mahnga tohfa nahi hai, Ye Maine khud banaya hai gaon me yahi bna kar main gujara karta tha lekin usse ghar nahi chalta tha isliye Aapke yaha naukari karne aaya hoo Malik sun kar hairan ho gya or bola: Kya tum abhi ye Khilaune or bna sakte ho baki Baccho ke liye. Kumhar khush ho ke bola HA  Mailk or usne sabhi ke liye Shandar Rang-Birange Khilaune bana kar diye.Ye dekh Malik ne socha kyon na mai ye Khilaune ka veyapar karoo or sahar me bechu, ye soch usne Kumhar ko Khilaune banane ke kaam par hi lga diya or badle me har mahine acchi tankha or rahne ka ghar bhi de diya. Ye sab paakar Kumhar or uska pariwar bhi bahut khush ho gya or Kumhar ko uske pasand ka kaam bhi mil gya.
                                                                                                                  
    Dosto is kahni ka mool arth ye hai ki hoonar to har insaan ke paas hai insaan kabhi bhi kisi bhi paristhi me us hoonar se apna jeevan sukh se jee sakta hai or jag me naam kma skta hai agar aapke paas bhi aisa koi hooner hai to prastut kariye use duniya ke samne.


    Jal ko baraf me badlane me waqt lagta hai,
    Sooraj ko nikalne me waqt lagta hai |
    Kismat ko to badal nahi skte,
    Lekin Apne hauslo se kismat badalne me waqt lagta hai ||

    Zindagi bahut haseen hai,
    Kabhi hasati hai to kabhi rulati hai|
    Lekin jo zindagi ke bheed me khush rahta hai,
    Zindagi usi ke aage sir jhukati hai ||

    Dosto agar Aapko bhi ye kahani acchi lagi ho to apne Vichar Zaroor Bataiye.

    Dhanyawaad

                                                                                                        Sachin kumar Prajapati

    15 comments: