• Breaking News

    PAPA kya hai?

    PAPA kya hai? 

    PAPA kya hai ye sabdo me baya karna pana bahut muskhil hai |||

    PAPA 

    Mai bahut kuch seekha hoo Aapse
    Jab din bhar ke mehnat ke baad kuch haath na ho to khud Paidal chalke kiraye wale Paise se Baccho ke liye kuch laya kaise jata hai?
    Maine seekha hai aapse.

    Sab apnapan jatate hai hamare dard mai Aasoo baha ke ya hame gale se lgake par Ek Majboot Kandha banke apne Aansoowo ko chipaya kaise jata hai?
    Maine seekha hai aapse.

    Jis Bete ke pahli baar bolne pe aapne meethiya bati ho, Wahi beta bda hokar aapki baat kaat de to uski baat ko has ke kaise tala jata hai?
    Maine seekha hai aapse. 

    Jab sab kuch beekhar gya ho sametne ko kuch bhi na ho aise waqt me pariwar ko kaise sambhala jata hai?
    Maine seekha hai aapse

    Or apne armano ka gla ghot ke-apne armano ka gla ghot ke apne baccho ke sapno ko pala kaise jaat hai?
    Maine seekha hai aapse.

    PAPA 
    Jab ek din mere kandhe par baitha mera beta jab mere kandho pe khada ho gya or mujhi se kahne lga  dekho papa mai tumse bda ho gya.
    Maine kaha beta is khoobsoorat galat faimi me bhale hi jakde rahna magar mera haath pakade rakhna, jis din ye haath beta choot jayega beta tera rangeen sapna bhi toot jayega.
    Duniya vastava me utni haseen nahi hai dekh tere paao tale abhi zameen nahi hai.
    Mai to Baap hoo Beta bahut khush ho jaunga jis din tu vastva me Mujhse bda ho jayega Bete kandhe pe nahi  jab tu zameen pe khada ho jayega ye Baap tujhe apna sab kuch de jayega or Tere kandhe s is Duniya se chala jayega.

    Dosto jab hum apne yuva avastha me hote hai, tab hume kisi cheej ki koi chinta nahi hoti hamari sari zaroorate Ma-Baap khud kast sahkar kahi na kahi se poori zaroor kar dete hai.Us samay sirf hume apni zaroorate hi deekhayi deti hai hummese bahut ko ye bhi pta nahi hota ki hamre maa-baap hamri zaroorate poori karne ke liye paise kaha se late hai tatha paise kamane ke liye unhe kitna kast sahna padta hai.

    Dosto Ma-Baap kabhi bhi Apne Baccho ko kast me nahi dekh sakte or har Mata-Pita ka sapna hota hai ki unki Aulad padh likh kar Nek Insaan bane or Bda hokar unka Naam Roshan kare.

    Dosto hamara bhi farz banta hai ki hum kabhi bhi kisi bhi baat ko lekar ghar walo se zid na kare. Apne ghar ke halat ke anusar hi hume karch karna chahiye or ho sake to apne ghar ke karyo me haath batana chahiye. 

    Dosto mata-pita se badhke is Duniya me kuch bhi nahi hai unki Bhavnawo ko samjho or unka  sammaan karo.

    Aapko bhi agar ye baatien acchi lagi ho to comment karke zaroor bataye.

    Dhanyawad
                                                                          SACHIN KUMAR PRAJAPATI


    13 comments: